pyāse ko paanī barsānā paḌtā hai
sāgar ko bādal ban jaanā paḌtā hai
jin ke paas na ho marne kī ḳhātir kuchh
un ko jiite jī mar jaanā paḌtā hai
duniyā meñ dar yūñhī nahīñ khulte pyāre
dīvāroñ se sar Takrānā paḌtā hai
naddī se jitnā chāhe laḌ le patthar
miTTī ban us ko bah jaanā paḌtā hai
ek junūñ kā peḌ sīñchne kī ḳhātir
kuchh ḳhvāboñ kā ḳhuun bahānā paḌtā hai
buniyādeñ mazbūt yuuñ bhī ho jaatī haiñ
un ko ghar kā bojh uThānā paḌtā hai
pyase ko pani barsana paDta hai
sagar ko baadal ban jaana paDta hai
jin ke pas na ho marne ki KHatir kuchh
un ko jite ji mar jaana paDta hai
duniya mein dar yunhi nahin khulte pyare
diwaron se sar Takrana paDta hai
naddi se jitna chahe laD le patthar
miTTi ban us ko bah jaana paDta hai
ek junun ka peD sinchne ki KHatir
kuchh KHwabon ka KHun bahana paDta hai
buniyaaden mazbut yun bhi ho jati hain
un ko ghar ka bojh uThana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.