pyasi dharti mang rahi hai jag ke data pani de
pyāsī dhartī maañg rahī hai jag ke daatā paanī de
sāgar sāgar jal-thal kar de dariyā dariyā paanī de
tū hī avval tū hī āḳhir tū hī rab tū hī ma.abūd
duniyā kī har ek baḌā.ī tujh ko zebā paanī de
har rangat meñ terī ḳhushbū har ḳhushbū meñ terā rang
zarra zarra nahīñ kisī kā sab kuchh terā paanī de
tujh ko to ma.alūm hai tere bandoñ kī hājat kyā hai
apnī is maḳhlūq pe thoḌī shafqat farmā paanī de
jaane kitne haath uThe haiñ terī jānib hasrat se
in hāthoñ kī laaj bachā le rahm-sarāpā paanī de
sāvan to pyāsī dhartī par aag jalā kar chalā gayā
kam se kam bhādoñ hī kar de dāman giilā paanī de
phūloñ se pākīza chehre shabnam se ma.asūm badan
ḳhvāboñ se nāzuk sāyoñ ko aur na tarsā paanī de
tūfānī sailāb se haT kar sūkhe mausam se kuchh duur
jitnī gahrī pyaas ho jis kī us ko utnā paanī de
ham to tujh ko bhulā chuke haiñ bhuul na lekin tū ham ko
pyāsī hai 'parvāz' ye duniyā rahmat barsā paanī de
pyasi dharti mang rahi hai jag ke data pani de
sagar sagar jal-thal kar de dariya dariya pani de
tu hi awwal tu hi aaKHir tu hi rab tu hi mabud
duniya ki har ek baDai tujh ko zeba pani de
har rangat mein teri KHushbu har KHushbu mein tera rang
zarra zarra nahin kisi ka sab kuchh tera pani de
tujh ko to malum hai tere bandon ki hajat kya hai
apni is maKHluq pe thoDi shafqat farma pani de
jaane kitne hath uThe hain teri jaanib hasrat se
in hathon ki laj bacha le rahm-sarapa pani de
sawan to pyasi dharti par aag jala kar chala gaya
kam se kam bhadon hi kar de daman gila pani de
phulon se pakiza chehre shabnam se masum badan
KHwabon se nazuk sayon ko aur na tarsa pani de
tufani sailab se haT kar sukhe mausam se kuchh dur
jitni gahri pyas ho jis ki us ko utna pani de
hum to tujh ko bhula chuke hain bhul na lekin tu hum ko
pyasi hai 'parwaz' ye duniya rahmat barsa pani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.