qabil-e-did tha jo rang bhi taghir mein tha
Interesting Fact
(3rd March, 1942) (Addressing poet Barq Dehlvi) (Birth date of Barq)
qābil-e-dīd thā jo rang bhī taġh.īr meñ thā
lutf duniyā kī badaltī huī tasvīr meñ thā
harf-e-be-kār thā jo kuchh mirī taqdīr meñ thā
hal har ik uqda-e-dushvār kā tadbīr meñ thā
merī taqsīr ne insān banāyā mujh ko
merī islāh kā pahlū mirī ta.azīr meñ thā
ab sazā-vār-e-fanā koī banā le varna
mudda.ā ziist kā muzmar mirī taqsīr meñ thā
ḳhaak duniyā pe asīrī kī lagā.eñ tohmat
paañv pahle hī se uljhā huā zanjīr meñ thā
ek majmūa-e-ziddain thī hastī merī
juzv-e-taḳhrīb bhī shāmil mirī ta.amīr meñ thā
mere jazbāt kā iz.hār mukammal kartā
hausla itnā qalam meñ thā na taqrīr meñ thā
sab mire husn-e-taḳhyyul kī fusūñ-kārī thī
ḳhvāb meñ thā na asar ḳhvāb kī ta.abīr meñ thā
na huī haañ na huī aur kisī ko taufīq
dil-e-marhūm kā mātam mirī taqdīr meñ thā
yuuñ na fil-faur huiiñ merī duā.eñ maqbūl
imtihāñ sabr kā pinhāñ tirī tāḳhīr meñ thā
aur rūdād-e-alam kaise mukammal hotī
ġham-e-ustād bhī 'tālib' tirī taqdīr meñ thā
qabil-e-did tha jo rang bhi taghir mein tha
lutf duniya ki badalti hui taswir mein tha
harf-e-be-kar tha jo kuchh meri taqdir mein tha
hal har ek uqda-e-dushwar ka tadbir mein tha
meri taqsir ne insan banaya mujh ko
meri islah ka pahlu meri tazir mein tha
ab saza-war-e-fana koi bana le warna
muddaa zist ka muzmar meri taqsir mein tha
KHak duniya pe asiri ki lagaen tohmat
panw pahle hi se uljha hua zanjir mein tha
ek majmua-e-ziddain thi hasti meri
juzw-e-taKHrib bhi shamil meri tamir mein tha
mere jazbaat ka izhaar mukammal karta
hausla itna qalam mein tha na taqrir mein tha
sab mere husn-e-taKHyyul ki fusun-kari thi
KHwab mein tha na asar KHwab ki tabir mein tha
na hui han na hui aur kisi ko taufiq
dil-e-marhum ka matam meri taqdir mein tha
yun na fil-faur huin meri duaen maqbul
imtihan sabr ka pinhan teri taKHir mein tha
aur rudad-e-alam kaise mukammal hoti
gham-e-ustad bhi 'talib' teri taqdir mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.