qabil-e-rashk zat phulon ki
qābil-e-rashk zaat phūloñ kī
ḳhuub hai kā.enāt phūloñ kī
ḳhushbuoñ ka safar tavīl magar
muḳhtasar hai hayāt phūloñ kī
kar chuke haiñ vuzū vo shabnam se
ho rahī hai salāt phūloñ kī
so ga.e haiñ lipaT ke kāñToñ se
kyā qayāmat hai raat phūloñ kī
hai asīr-e-qafas ke hoñToñ par
zikr kaliyoñ ka baat phūloñ kī
un ke hañsne se khil ga.e ġhunche
un ke dam se hayāt phūloñ kī
chand lamhoñ meñ khil ke murjhā.eñ
zindagī be-sabāt phūloñ kī
saarī mahfil mahak ga.ī 'anjum'
sher haiñ yā barāt phūloñ kī
hai ġhazal meñ chamak bhī 'anjum' kī
aur mahak saath saath phūloñ kī
qabil-e-rashk zat phulon ki
KHub hai kaenat phulon ki
KHushbuon ka safar tawil magar
muKHtasar hai hayat phulon ki
kar chuke hain wuzu wo shabnam se
ho rahi hai salat phulon ki
so gae hain lipaT ke kanTon se
kya qayamat hai raat phulon ki
hai asir-e-qafas ke honTon par
zikr kaliyon ka baat phulon ki
un ke hansne se khil gae ghunche
un ke dam se hayat phulon ki
chand lamhon mein khil ke murjhaen
zindagi be-sabaat phulon ki
sari mahfil mahak gai 'anjum'
sher hain ya baraat phulon ki
hai ghazal mein chamak bhi 'anjum' ki
aur mahak sath sath phulon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.