qabil-e-tardid par iman le aae hain hum
qābil-e-tardīd par īmān le aa.e haiñ ham
be-sabab hī apne sar ehsān le aa.e haiñ ham
ranj-o-ġham hoñ yā ḳhushī ho sab ke sab haiñ be-sabāt
bodhisatvoñ se yahī vigyān le aa.e haiñ ham
is liye bhī jism hai insāniyat kā tār-tār
ādmiyyat ko sar-e-maidān le aa.e haiñ ham
niiñd se jāgeñ nahīñ ye ahl-e-hindustāñ kabhī
is liye har zaat kā bhagvān le aa.e haiñ ham
zindagī ke mas.aloñ par koī charchā hī nahīñ
kis tarah kā ye nayā aivān le aa.e haiñ ham
qabil-e-tardid par iman le aae hain hum
be-sabab hi apne sar ehsan le aae hain hum
ranj-o-gham hon ya KHushi ho sab ke sab hain be-sabaat
bodhisatwon se yahi wigyan le aae hain hum
is liye bhi jism hai insaniyat ka tar-tar
aadmiyyat ko sar-e-maidan le aae hain hum
nind se jagen nahin ye ahl-e-hindustan kabhi
is liye har zat ka bhagwan le aae hain hum
zindagi ke masalon par koi charcha hi nahin
kis tarah ka ye naya aiwan le aae hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.