qaem kahan kisi ka sada rah saka sitam
qaa.em kahāñ kisī kā sadā rah sakā sitam
hai chand roza bas ye sitamgar tirā sitam
kab tak tū zulm Dhā.egā kab tak satā.egā
zālim samajh ke soch ke tū ham pe Dhā sitam
tere ye taḳht-o-tāj na kuchh kaam ā.eñge
himmat se merī jab tirā Takrā.egā sitam
zālim vo ek roz zamāne se miT gayā
mazlūmoñ par jo Dhātā rahā thā baḌā sitam
munsif hai terā terī adālat ġhulām hai
rokegā tujh ko kaun tū jī bhar ke Dhā sitam
ham par nahīñ kisī kī nazar aaj mehrbāñ
jis ko bhī dekho ham pe vo hī kar rahā sitam
khole jo maiñ ne hoñT 'qamar' sī diye ga.e
haq bolne se lagtā hai ḳhud par kiyā sitam
qaem kahan kisi ka sada rah saka sitam
hai chand roza bas ye sitamgar tera sitam
kab tak tu zulm Dhaega kab tak sataega
zalim samajh ke soch ke tu hum pe Dha sitam
tere ye taKHt-o-taj na kuchh kaam aaenge
himmat se meri jab tera Takraega sitam
zalim wo ek roz zamane se miT gaya
mazlumon par jo Dhata raha tha baDa sitam
munsif hai tera teri adalat ghulam hai
rokega tujh ko kaun tu ji bhar ke Dha sitam
hum par nahin kisi ki nazar aaj mehrban
jis ko bhi dekho hum pe wo hi kar raha sitam
khole jo main ne honT 'qamar' si diye gae
haq bolne se lagta hai KHud par kiya sitam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.