qafila dil ka luT gaya hota
qāfila dil kā luT gayā hotā
husn rahzan koī milā hotā
apne dil par hī e'tibār nahīñ
aap kā e'tibār kyā hotā
shikva-e-ġham na kar mohabbat meñ
ye na hotā to aur kyā hotā
jalva-e-husn kār-farmā thā
varna yuuñ tuur jal gayā hotā
maiñ ḳhud apnī nazar meñ aa na sakā
varna yuuñ tujh ko DhūñDhtā hotā
husn hotā ġham-āshnā 'maikash'
'ishq-e-masrūr mudda'ā hotā
qafila dil ka luT gaya hota
husn rahzan koi mila hota
apne dil par hi e'tibar nahin
aap ka e'tibar kya hota
shikwa-e-gham na kar mohabbat mein
ye na hota to aur kya hota
jalwa-e-husn kar-farma tha
warna yun tur jal gaya hota
main KHud apni nazar mein aa na saka
warna yun tujh ko DhunDhta hota
husn hota gham-ashna 'maikash'
'ishq-e-masrur mudda'a hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.