qafila gul ka jab aaya teri KHatir Thahra
qāfila gul kā jab aaya tirī ḳhātir Thahrā
baad tere na koī jashn kā mehvar Thahrā
rang aur nuur ke din raat raqīboñ ko mile
karb tanhā mire darvāze pe aa kar Thahrā
ghar se jo duur hai apnoñ se alag mulk-badar
isti.āre ke liye tāir-e-be-ghar Thahrā
sham.a hotī to mire saath pighaltī rahtī
chāñd thā aks tirā saath na shab-bhar Thahrā
qafila gul ka jab aaya teri KHatir Thahra
baad tere na koi jashn ka mehwar Thahra
rang aur nur ke din raat raqibon ko mile
karb tanha mere darwaze pe aa kar Thahra
ghar se jo dur hai apnon se alag mulk-badar
istiare ke liye tair-e-be-ghar Thahra
shama hoti to mere sath pighalti rahti
chand tha aks tera sath na shab-bhar Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.