qafila jab ruka hua hoga
qāfila jab rukā huā hogā
saarā manzar thakā huā hogā
bādaloñ par kahīñ bulandī par
ḳhvāb kā ghar banā huā hogā
ye jo har samt ḳhuun phailā hai
ḳhvāb meñ hādisa huā hogā
bādshāhī jise milī hogī
tere dar par jhukā huā hogā
jaane vaalā galī kī nukkaḌ par
muḌte muḌte rukā huā hogā
dil meñ maujūd vo agar nahīñ hai
dhaḌkanoñ meñ chhupā huā hogā
qafila jab ruka hua hoga
sara manzar thaka hua hoga
baadalon par kahin bulandi par
KHwab ka ghar bana hua hoga
ye jo har samt KHun phaila hai
KHwab mein hadisa hua hoga
baadshahi jise mili hogi
tere dar par jhuka hua hoga
jaane wala gali ki nukkaD par
muDte muDte ruka hua hoga
dil mein maujud wo agar nahin hai
dhaDkanon mein chhupa hua hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.