qafile dil mein yaadon ke aate rahe
qāfile dil meñ yādoñ ke aate rahe
āñsuoñ ke diye jhilmilāte rahe
aap hī ke tabassum kā ye faiz thā
phuul sahrā meñ bhī muskurāte rahe
tīrgī hai tajallī kā ik marhala
ham nigāheñ usī se churāte rahe
ġham ke māroñ ko kāñToñ pe niiñd aa ga.ī
phuul ġham-ḳhvār mere bichhāte rahe
tishnagī kā bharam Tuut jaatā magar
ashk pī pī ke ham hī baḌhāte rahe
qafile dil mein yaadon ke aate rahe
aansuon ke diye jhilmilate rahe
aap hi ke tabassum ka ye faiz tha
phul sahra mein bhi muskuraate rahe
tirgi hai tajalli ka ek marhala
hum nigahen usi se churaate rahe
gham ke maron ko kanTon pe nind aa gai
phul gham-KHwar mere bichhate rahe
tishnagi ka bharam Tut jata magar
ashk pi pi ke hum hi baDhate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.