qafile ko bhaTak hi jaana hai
qāfile ko bhaTak hī jaanā hai
rāste meñ ġhubār itnā hai
phir ghanī raat meñ ujālā hai
dil meñ raushan vo chāñd chehra hai
ḳhār-zāroñ meñ jism uljhā hai
ḳhushk āñkhoñ meñ ek sahrā hai
log aate haiñ aur jaate haiñ
jaise duniyā sarā.e-ḳhāna hai
ḳhāmushī karb hai samundar kā
tah meñ tūfān uThtā rahtā hai
chīḳhtā rahtā hai nagar saarā
kaun āvāz kis kī suntā hai
bhuul jaane ke ba.ad bhī aksar
mere dil meñ vo sair kartā hai
shams' pyāsā hai aabjū ke liye
sahrā sahrā bhaTaktā rahtā hai
qafile ko bhaTak hi jaana hai
raste mein ghubar itna hai
phir ghani raat mein ujala hai
dil mein raushan wo chand chehra hai
KHar-zaron mein jism uljha hai
KHushk aankhon mein ek sahra hai
log aate hain aur jate hain
jaise duniya sarae-KHana hai
KHamushi karb hai samundar ka
tah mein tufan uThta rahta hai
chiKHta rahta hai nagar sara
kaun aawaz kis ki sunta hai
bhul jaane ke baad bhi aksar
mere dil mein wo sair karta hai
shams' pyasa hai aabju ke liye
sahra sahra bhaTakta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.