Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qafile luT gae sar nok-e-sinan tak pahunche

Jaani Lakhnavi

qafile luT gae sar nok-e-sinan tak pahunche

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    qāfile luT ga.e sar nok-e-sināñ tak pahuñche

    jab bahāroñ ke talabgār ḳhizāñ tak pahuñche

    aap ishq masāfat hai to bas itnā ki ham

    dasht-e-imkāñ se chale dasht-e-ziyāñ tak pahuñche

    ham se pūchho ki simaT aatā hai kaise girya

    lamhe lamhe safar bār-e-garāñ tak pahuñche

    mere hisse meñ dilāse pe dilāse aa.e

    ḳhush-nasībān-e-safar terī amaañ tak pahuñche

    muddatoñ ḳhaak uḌaa.ī ga.ī sahrā sahrā

    tab kahīñ ke tire nām-o-nishāñ tak pahuñche

    bārhā zabt-e-musalsal ko bikharte dekhā

    lafz-dar-lafz vo jab merī zabāñ tak pahuñche

    phir na.ī raah nazar aane lagī hai mujh ko

    jab mire saare yaqīñ husn-e-gumāñ tak pahuñche

    qafile luT gae sar nok-e-sinan tak pahunche

    jab bahaaron ke talabgar KHizan tak pahunche

    aap ka ishq masafat hai to bas itna ki hum

    dasht-e-imkan se chale dasht-e-ziyan tak pahunche

    hum se puchho ki simaT aata hai kaise girya

    lamhe lamhe ka safar bar-e-garan tak pahunche

    mere hisse mein dilase pe dilase aae

    KHush-nasiban-e-safar teri aman tak pahunche

    muddaton KHak uDai gai sahra sahra

    tab kahin ja ke tere nam-o-nishan tak pahunche

    barha zabt-e-musalsal ko bikharte dekha

    lafz-dar-lafz wo jab meri zaban tak pahunche

    phir nai rah nazar aane lagi hai mujh ko

    jab mere sare yaqin husn-e-guman tak pahunche

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now