qafile se bharosa uThana paDa
qāfile se bharosā uThānā paḌā
apnā rastā mujhe ḳhud banānā paḌā
uñgliyāñ thaam kar chalne kī 'umr thī
jab mujhe bojh apnā uThānā paḌā
aaj phir paas apne kirāya na thā
madrase pā-piyāda hī jaanā paḌā
dostoñ ne to phir bhī tavaqquf kiyā
qarz bhaa.ī kā pahle chukānā paḌā
āb-e-rahmat ne shab jo chhuā khaaT ko
ghar paḌosī ke bistar lagānā paḌā
tifl jab bilbilāyā kaḌī bhuuk se
bech kar ḳhuun bhī duudh laanā paḌā
un se mīrās pūchho na ai dosto
bojh qarzoñ kā jin ko uThānā paḌā
sab hī nikle jo 'dīpak' namak-pāsh to
ḳhud hī zaḳhmoñ pe marham lagānā paḌā
qafile se bharosa uThana paDa
apna rasta mujhe KHud banana paDa
ungliyan tham kar chalne ki 'umr thi
jab mujhe bojh apna uThana paDa
aaj phir pas apne kiraya na tha
madrase pa-piyaada hi jaana paDa
doston ne to phir bhi tawaqquf kiya
qarz bhai ka pahle chukana paDa
aab-e-rahmat ne shab jo chhua khaT ko
ghar paDosi ke bistar lagana paDa
tifl jab bilbilaya kaDi bhuk se
bech kar KHun bhi dudh lana paDa
un se miras puchho na ai dosto
bojh qarzon ka jin ko uThana paDa
sab hi nikle jo 'dipak' namak-pash to
KHud hi zaKHmon pe marham lagana paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.