qafile yaadon ke yun dil mein mere dar aae
qāfile yādoñ ke yuuñ dil meñ mire dar aa.e
jaise pardes se barsoñ meñ koī ghar aa.e
vasl kī raah meñ hai hijr kā sahrā-e-azīm
kaise milne kabhī dariyā se samundar aa.e
ātish-e-sahn-e-chaman sirf chaman tak na rahī
chand sho.ale mire dāman pe bhī uḌ kar aa.e
qarz ahbāb kā us vaqt kiyā maiñ ne adā
jab mire sāmne vo taan ke ḳhanjar aa.e
zulm-o-bedād kā sūraj hai savā neze par
kyoñ na is daur meñ bhī koī payambar aa.e
un se itnā bhī ta'alluq na baḌhā tū ai dil
mujh se milne kā koī pal na mayassar aa.e
dil meñ 'shādāñ' mire ābād hai vo ġhuncha-dahan
jis kī har saañs se ḳhushbū-e-gul-e-tar aa.e
qafile yaadon ke yun dil mein mere dar aae
jaise pardes se barson mein koi ghar aae
wasl ki rah mein hai hijr ka sahra-e-azim
kaise milne kabhi dariya se samundar aae
aatish-e-sahn-e-chaman sirf chaman tak na rahi
chand shoale mere daman pe bhi uD kar aae
qarz ahbab ka us waqt kiya main ne ada
jab mere samne wo tan ke KHanjar aae
zulm-o-bedad ka suraj hai sawa neze par
kyon na is daur mein bhi koi payambar aae
un se itna bhi ta'alluq na baDha tu ai dil
mujh se milne ka koi pal na mayassar aae
dil mein 'shadan' mere aabaad hai wo ghuncha-dahan
jis ki har sans se KHushbu-e-gul-e-tar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.