qafiya par qafiya hazrat raqam karte gae
qāfiya par qāfiya hazrat raqam karte ga.e
or ġhazal ke hāth-pairoñ ko qalam karte ga.e
vaise vaise sab azīzoñ ke chahete ho ga.e
jaise jaise chā.e-pānī mohtaram karte ga.e
samt-e-manzil chalte chalte paañv roke baar baar
us ke ta.ane roz lekin tāza-dam karte ga.e
kyā batā.eñ aap ko un kī karam-farmā.iyāñ
ham ināyat aur vo ham par sitam karte ga.e
jab suḳhan-fahmoñ kī kam-fahmī se vāqif ho ga.e
din-ba-din ham sher-goī kam se kam karte ga.e
jabki rusvā.ī milā har ḳhair-ḳhvāhī kā badal
ḳhair-ḳhvāhī phir bhī ham har har qadam karte ga.e
qafiya par qafiya hazrat raqam karte gae
or ghazal ke hath-pairon ko qalam karte gae
waise waise sab azizon ke chahete ho gae
jaise jaise chae-pani mohtaram karte gae
samt-e-manzil chalte chalte panw roke bar bar
us ke tane roz lekin taza-dam karte gae
kya bataen aap ko un ki karam-farmaiyan
hum inayat aur wo hum par sitam karte gae
jab suKHan-fahmon ki kam-fahmi se waqif ho gae
din-ba-din hum sher-goi kam se kam karte gae
jabki ruswai mila har KHair-KHwahi ka badal
KHair-KHwahi phir bhi hum har har qadam karte gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.