qail karun kis baat se main tujhko sitamgar
qaa.il karūñ kis baat se maiñ tujh ko sitamgar
Dhalvān pe ruktā nahīñ paanī ho ki patthar
sūraj nikal aayā to vo mausam na rahegā
kuchh der kā mehmāñ hai yahāñ sub.h kā manzar
bāhar jo maiñ niklūñ to barahna nazar aa.uuñ
baiThā huuñ maiñ ghar meñ dar-dīvār pahan kar
bekār gayā gahre samundar meñ utarnā
lahreñ mujhe phir Daal ga.iiñ ret ke uupar
aa dekh ki huuñ ab bhī maiñ āġhosh-kushāda
āñkheñ haiñ mirī os meñ bhīgā huā bistar
kyā mujh se mirī umr kā qad naap rahe ho
har pal hai yahāñ kitnī hī sadiyoñ ke barābar
bādal ho to phir khul ke baras lo kabhī shāhid
hai baat agar dil meñ to kah do use muñh par
qail karun kis baat se main tujh ko sitamgar
Dhalwan pe rukta nahin pani ho ki patthar
suraj nikal aaya to wo mausam na rahega
kuchh der ka mehman hai yahan subh ka manzar
bahar jo main niklun to barahna nazar aaun
baiTha hun main ghar mein dar-diwar pahan kar
bekar gaya gahre samundar mein utarna
lahren mujhe phir Dal gain ret ke upar
aa dekh ki hun ab bhi main aaghosh-kushada
aankhen hain meri os mein bhiga hua bistar
kya mujh se meri umr ka qad nap rahe ho
har pal hai yahan kitni hi sadiyon ke barabar
baadal ho to phir khul ke baras lo kabhi shahid
hai baat agar dil mein to kah do use munh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.