qamat-e-yar abhi mail-e-raftar nahin
qāmat-e-yār abhī mā.il-e-raftār nahīñ
hashr barpā hai magar hashr ke āsār nahīñ
is tap-e-hijr meñ bigḌī hai zabāñ kuchh aisī
ġham bhī khātā huuñ to kahtā huuñ mazedār nahīñ
mai-kade vāloñ se hazrat kahīñ uljhe hoñge
aaj dastār meñ nāseh ke koī taar nahīñ
ḳhauf hai mujh ko shab-e-vasl na ho jaa.e sahar
varna ghūñghaT kā uThānā koī dushvār nahīñ
kyoñ kaTe jaate haiñ chalte hue fiqroñ se 'adū
muñh meñ 'safdar' ke zabāñ hai koī talvār nahīñ
qamat-e-yar abhi mail-e-raftar nahin
hashr barpa hai magar hashr ke aasar nahin
is tap-e-hijr mein bigDi hai zaban kuchh aisi
gham bhi khata hun to kahta hun mazedar nahin
mai-kade walon se hazrat kahin uljhe honge
aaj dastar mein naseh ke koi tar nahin
KHauf hai mujh ko shab-e-wasl na ho jae sahar
warna ghunghaT ka uThana koi dushwar nahin
kyon kaTe jate hain chalte hue fiqron se 'adu
munh mein 'safdar' ke zaban hai koi talwar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.