qasid tu KHat ko laya hai kyunkar khula hua
qāsid tū ḳhat ko laayā hai kyūñkar khulā huā
ḳhat hai ki hai ye merā muqaddar khulā huā
paḌte hī ik nazar huā zaḳhmī dil-o-jigar
qātil tirī nazar hai ki ḳhanjar khulā huā
qāsid se kyā kahūñ maiñ likhūñ ḳhat meñ un ko kyā
pinhāñ ke dil kā haal hai un par khulā huā
qasid tu KHat ko laya hai kyunkar khula hua
KHat hai ki hai ye mera muqaddar khula hua
paDte hi ek nazar hua zaKHmi dil-o-jigar
qatil teri nazar hai ki KHanjar khula hua
qasid se kya kahun main likhun KHat mein un ko kya
pinhan ke dil ka haal hai un par khula hua
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 98)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.