qatil hai jo mera wahi apna sa lage hai
qātil hai jo merā vahī apnā sā lage hai
duniyā se judā ho ke vo duniyā sā lage hai
har shaam mire dil meñ hai yādoñ se charāġhāñ
har shaam mirī palkoñ pe melā sā lage hai
kis haal pe chhoḌe hai mujhe gardish-e-ayyām
sabza bhī jahāñ dekhe huuñ sahrā sā lage hai
bātil ke jalā.e hue dīpak kā hai charchā
jo sach kā hai sūraj vo tamāshā sā lage hai
sāvan kī bahāroñ sā vahī husn kā paikar
kahne ko hai begāna par apnā sā lage hai
qatil hai jo mera wahi apna sa lage hai
duniya se juda ho ke wo duniya sa lage hai
har sham mere dil mein hai yaadon se charaghan
har sham meri palkon pe mela sa lage hai
kis haal pe chhoDe hai mujhe gardish-e-ayyam
sabza bhi jahan dekhe hun sahra sa lage hai
baatil ke jalae hue dipak ka hai charcha
jo sach ka hai suraj wo tamasha sa lage hai
sawan ki bahaaron sa wahi husn ka paikar
kahne ko hai begana par apna sa lage hai
- Book : Dar Haqeeqat (Pg. 34)
- Author : Azhar Shams
- Publication : Rujhaan Publications, Allahabad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.