qatil hai teri zulf-e-girah-gir ki zanjir
qātil hai tirī zulf-e-girah-gīr kī zanjīr
shamshīr kī shamshīr hai zanjīr kī zanjīr
dīvāna to maiñ huuñ kaf-e-mashshāta meñ vo zulf
ġhairoñ ko milī hai mirī taqdīr kī zanjīr
bhūle nahīñ ham ālam-e-vahshat meñ ibādat
chalne meñ sadā detī hai takbīr kī zanjīr
hai zikr kisī zulf kā har vaqt zabāñ par
ho kyoñ na musalsal mirī taqrīr kī zanjīr
ma.alūm huā aap kā zar-gar hai muhavvis
laayā hai banā kar zar-e-iksīr kī zanjīr
rahm aa gayā jab kāhkashāñ charḳh pe dekhī
bhārī nazar aa.ī mujhe us pair kī zanjīr
rahtī hai bigaḌne pe vahī bid.at-e-zālim
TuuTī to banī āhan-e-shamshīr kī zanjīr
iizā nahīñ dete mire paañv ko salāsil
jaise kisī dīvāna-e-tasvīr kī zanjīr
ai aah kahāñ hai vo tirī quvvat-e-bāzū
toḌe na dar-e-ḳhāna-e-tāsīr kī zanjīr
likhtā hai qalam bas-ki tirī zulf kī tārīf
har satr mire ḳhat meñ hai tahrīr kī zanjīr
huuñ mujrim-e-ulfat mirī ta.azīr yahī hai
ho paañv meñ us zulf-e-girah-gīr kī zanjīr
andesha 'asīr' is liye hai mujh ko ajal se
auroñ ko milegī mirī taqdīr kī zanjīr
qatil hai teri zulf-e-girah-gir ki zanjir
shamshir ki shamshir hai zanjir ki zanjir
diwana to main hun kaf-e-mashshata mein wo zulf
ghairon ko mili hai meri taqdir ki zanjir
bhule nahin hum aalam-e-wahshat mein ibaadat
chalne mein sada deti hai takbir ki zanjir
hai zikr kisi zulf ka har waqt zaban par
ho kyon na musalsal meri taqrir ki zanjir
malum hua aap ka zar-gar hai muhawwis
laya hai bana kar zar-e-iksir ki zanjir
rahm aa gaya jab kahkashan charKH pe dekhi
bhaari nazar aai mujhe us pair ki zanjir
rahti hai bigaDne pe wahi bidat-e-zalim
TuTi to bani aahan-e-shamshir ki zanjir
iza nahin dete mere panw ko salasil
jaise kisi diwana-e-taswir ki zanjir
ai aah kahan hai wo teri quwwat-e-bazu
toDe na dar-e-KHana-e-tasir ki zanjir
likhta hai qalam bas-ki teri zulf ki tarif
har satr mere KHat mein hai tahrir ki zanjir
hun mujrim-e-ulfat meri tazir yahi hai
ho panw mein us zulf-e-girah-gir ki zanjir
andesha 'asir' is liye hai mujh ko ajal se
auron ko milegi meri taqdir ki zanjir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.