qatilo mangen to saughat-e-safar de dena
qātilo māñgeñ to sauġhāt-e-safar de denā
mere bachchoñ ko mirā kāsa-e-sar de denā
log pūchheñge ki pardes se kyā laa.e ho
rāsto ham ko zarā gard-e-safar de denā
sarhadeñ jis kī mileñ daar se zindānoñ se
zindagī mujh ko vahī rāhguzar de denā
ahl-e-lashkar jo kamīñ-gāhoñ meñ vāpas jaanā
mere hāthoñ meñ bhī bosīda sipar de denā
ghar se masmūm havāoñ ko guzarne ke liye
koī rauzan koī khiḌkī koī dar de denā
koī kahtā hai ye maqtal kī zamīñ se jā kar
āsmānoñ ko mire shams-o-qamar de denā
ab jo ghabrā ke añdhere se ye duniyā 'kāzim'
raushnī māñge to tābūt-e-sahar de denā
qatilo mangen to saughat-e-safar de dena
mere bachchon ko mera kasa-e-sar de dena
log puchhenge ki pardes se kya lae ho
rasto hum ko zara gard-e-safar de dena
sarhaden jis ki milen dar se zindanon se
zindagi mujh ko wahi rahguzar de dena
ahl-e-lashkar jo kamin-gahon mein wapas jaana
mere hathon mein bhi bosida sipar de dena
ghar se masmum hawaon ko guzarne ke liye
koi rauzan koi khiDki koi dar de dena
koi kahta hai ye maqtal ki zamin se ja kar
aasmanon ko mere shams-o-qamar de dena
ab jo ghabra ke andhere se ye duniya 'kazim'
raushni mange to tabut-e-sahar de dena
- Book : کتاب سنگ (Pg. 62)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.