qabila ishq ka mere KHilaf ho raha tha
qabīla ishq kā mere ḳhilāf ho rahā thā
rivāyatoñ se baḌā inhirāf ho rahā thā
phir ek hijr kā ehrām lā thamāyā gayā
dayār-e-vasl kā pahlā tavāf ho rahā thā
qabā-e-zard ne pairoñ ko Dhāñp rakkhā thā
barahna shāḳh pe mausam ġhilāf ho rahā thā
ye dastakeñ mirī buniyād tak hilā rahī thiiñ
ki jism-o-jān meñ jaise shigāf ho rahā thā
ka.ī balāoñ ne ghere meñ le liyā thā mujhe
kisī kī yaad kā jab etakāf ho rahā thā
ye vaqt ruk gayā 'tāhir' mire darīche par
savere hone kā yuuñ e'tirāf ho rahā thā
qabila ishq ka mere KHilaf ho raha tha
riwayaton se baDa inhiraf ho raha tha
phir ek hijr ka ehram la thamaya gaya
dayar-e-wasl ka pahla tawaf ho raha tha
qaba-e-zard ne pairon ko Dhanp rakkha tha
barahna shaKH pe mausam ghilaf ho raha tha
ye dastaken meri buniyaad tak hila rahi thin
ki jism-o-jaan mein jaise shigaf ho raha tha
kai balaon ne ghere mein le liya tha mujhe
kisi ki yaad ka jab etakaf ho raha tha
ye waqt ruk gaya 'tahir' mere dariche par
sawere hone ka yun e'tiraf ho raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.