qabr Khaali hai isko bharna hai
qabr ḳhālī hai is ko bharnā hai
ek din har kisī ko marnā hai
pahle simTeñge terī bāñhoñ meñ
phir tire hijr meñ bikharnā hai
qabr meñ log kaise rahte haiñ
ye tajraba hameñ bhī karnā hai
duniyā vāloñ kā ḳhauf kyoñ karnā
ham ko apne ḳhudā se Darnā hai
sadiyoñ pahle jo raah chhoḌ aa.e
phir usī raah se guzarnā hai
qabr KHali hai is ko bharna hai
ek din har kisi ko marna hai
pahle simTenge teri banhon mein
phir tere hijr mein bikharna hai
qabr mein log kaise rahte hain
ye tajraba hamein bhi karna hai
duniya walon ka KHauf kyon karna
hum ko apne KHuda se Darna hai
sadiyon pahle jo rah chhoD aae
phir usi rah se guzarna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.