qabr ki aaghosh mein utri nahin
qabr kī āġhosh meñ utrī nahīñ
jism kī miTTī abhī miTTī nahīñ
jaise ab bhī pūchhtī ho vo nazar
aapne jiine kī zid chhoḌī nahīñ
ḳhud-kushī achchhī nahīñ mere liye
bhiiḌ duniyā ke liye achchhī nahīñ
dauḌ kar bus to pakaḌ sakte haiñ aap
ghar pakaḌne kī koī gaaḌī nahīñ
qabr ki aaghosh mein utri nahin
jism ki miTTi abhi miTTi nahin
jaise ab bhi puchhti ho wo nazar
aapne jine ki zid chhoDi nahin
KHud-kushi achchhi nahin mere liye
bhiD duniya ke liye achchhi nahin
dauD kar bus to pakaD sakte hain aap
ghar pakaDne ki koi gaDi nahin
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 74)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.