qabr pe phul khila aahista
qabr pe phuul khilā āhista
zaḳham se ḳhuun bahā āhista
dhyān ke ziine pe yādoñ ne phir
dekhiye paañv dharā āhista
kahne ko vaqt guzartā hī na thā
aur jag biit gayā āhista
kaaTe se raat nahīñ kaTtī thī
phir bhī din aa hī gayā āhista
aañkh meñ chehra basā rahtā hai
is liye ashk girā āhista
maiñ jo muddat meñ hañsī dil ne kahā
kyā tujhe sabr milā āhista
ro ke maiñ ne ye kahā duniyā hai
ġham ko sahnā hī paḌā āhista
qabr pe phul khila aahista
zaKHam se KHun baha aahista
dhyan ke zine pe yaadon ne phir
dekhiye panw dhara aahista
kahne ko waqt guzarta hi na tha
aur jag bit gaya aahista
kaTe se raat nahin kaTti thi
phir bhi din aa hi gaya aahista
aankh mein chehra basa rahta hai
is liye ashk gira aahista
main jo muddat mein hansi dil ne kaha
kya tujhe sabr mila aahista
ro ke main ne ye kaha duniya hai
gham ko sahna hi paDa aahista
- Book : Shakh-e-gazal (Pg. 122)
- Author : Mah-e-talat Zahidi
- Publication : Baikan Books Gulgisht Multan, Kitab nagar Hassan (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.