Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qabr se qahr ke aasar nikal aate hain

Muntazir Qaimi

qabr se qahr ke aasar nikal aate hain

Muntazir Qaimi

MORE BYMuntazir Qaimi

    qabr se qahr ke āsār nikal aate haiñ

    ḳhānqāhoñ meñ bhī darbār nikal aate haiñ

    uḌtī paḌtī huī be-kār afvāhoñ par

    surḳhiyāñ oḌh ke aḳhbār nikal aate haiñ

    ġham ke sailāb meñ ham Dūbte itrāte haiñ

    kabhī us paar to is paar nikal aate haiñ

    itnī māyūsī hai ab zaḳhm ke bāzāroñ meñ

    āñsuoñ ke bhī ḳharīdār nikal aate haiñ

    vo to jaañ le ke musallam haiñ vafādārī meñ

    ham to sar de ke bhī ġhaddār nikal aate haiñ

    jab bhī aḌ jaate haiñ har haal meñ bai.at pe yazīd

    phir kafan oḌh ke inkār nikal aate haiñ

    vo mohabbat ho siyāsat ho ki ho amn ki jañg

    ab to har moḌ pe bāzār nikal aate haiñ

    ġham meñ Duubī huī bad-hāl sachchā.ī par

    laḌkhaḌāte hue ash.ār nikal aate haiñ

    qabr se qahr ke aasar nikal aate hain

    KHanqahon mein bhi darbar nikal aate hain

    uDti paDti hui be-kar si afwahon par

    surKHiyan oDh ke aKHbar nikal aate hain

    gham ke sailab mein hum Dubte itraate hain

    kabhi us par to is par nikal aate hain

    itni mayusi hai ab zaKHm ke bazaron mein

    aansuon ke bhi KHaridar nikal aate hain

    wo to jaan le ke musallam hain wafadari mein

    hum to sar de ke bhi ghaddar nikal aate hain

    jab bhi aD jate hain har haal mein baiat pe yazid

    phir kafan oDh ke inkar nikal aate hain

    wo mohabbat ho siyasat ho ki ho amn ki jang

    ab to har moD pe bazar nikal aate hain

    gham mein Dubi hui bad-haal si sachchai par

    laDkhaDate hue ashaar nikal aate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now