qabza mere badan pe meri KHwahishon ka hai
qabza mire badan pe mirī ḳhvāhishoñ kā hai
bastī mirī pe raaj mire dushmanoñ kā hai
qalb-o-nazar meñ nuur na.e tajraboñ kā hai
ehsān kis qadar ye badaltī rutoñ kā hai
chehre se dhul chukī mirī bedāriyoñ kī raakh
āñkhoñ meñ kuchh ḳhumār abhī ratjagoñ kā hai
tū so rahā thā aur maiñ dastak na de sakā
kitnā ḳhayāl mujh ko tirī rāhatoñ kā hai
shāyad vo aaj merī tarah hī thā be-qarār
yā ye bhī koī aks mirī uljhanoñ kā hai
chaltī hai jis tarah se tirī nabz tez tez
andāz hū-ba-hū ye mirī dhaḌkanoñ kā hai
jin ke tufail sabz hai kohsār kā badan
sailāb vādiyoñ meñ unheñ bārishoñ kā hai
dīvāngī meñ merī nahīñ hai kisī kā haath
saarā qusūr us meñ mirī ādatoñ kā hai
dil muztarib hai aur siyāhat hai be-maza
jaadū abhī hamāre saroñ par gharoñ kā hai
kyā jāneñ kis tarah se use tai kareñge ham
darpesh ik safar jo ghane jañgaloñ kā hai
'betāb' apne haal pe mātam na kyuuñ karūñ
mujh ko abhī to rañj luTī sā.atoñ kā hai
qabza mere badan pe meri KHwahishon ka hai
basti meri pe raj mere dushmanon ka hai
qalb-o-nazar mein nur nae tajrabon ka hai
ehsan kis qadar ye badalti ruton ka hai
chehre se dhul chuki meri bedariyon ki rakh
aankhon mein kuchh KHumar abhi ratjagon ka hai
tu so raha tha aur main dastak na de saka
kitna KHayal mujh ko teri rahaton ka hai
shayad wo aaj meri tarah hi tha be-qarar
ya ye bhi koi aks meri uljhanon ka hai
chalti hai jis tarah se teri nabz tez tez
andaz hu-ba-hu ye meri dhaDkanon ka hai
jin ke tufail sabz hai kohsar ka badan
sailab wadiyon mein unhen barishon ka hai
diwangi mein meri nahin hai kisi ka hath
sara qusur us mein meri aadaton ka hai
dil muztarib hai aur siyahat hai be-maza
jadu abhi hamare saron par gharon ka hai
kya jaanen kis tarah se use tai karenge hum
darpesh ek safar jo ghane jangalon ka hai
'betab' apne haal pe matam na kyun karun
mujh ko abhi to ranj luTi saaton ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.