qad khinche hai jis waqt to hai turfa-bala tu
qad khīñche hai jis vaqt to hai turfa-balā tū
kahtā hai tirā saaya parī se ki hai kyā tū
gar apnī ravish raah chalā yaar to ai kabk
rah jā.egā dīvār-e-gulistāñ se lagā tū
be-gul nahīñ bulbul tujhe bhī chain pa dekheñ
mar rahte haiñ ham ek taraf baaġh meñ yā tū
ḳhush-rū hai bahut ai gul-e-tar tū bhī va-lekin
insāf hai muñh tere hī vaisā hai bhalā tū
kyā jāniye ai gauhar-e-maqsad tū kahāñ hai
ham ḳhaak meñ bhī mil ga.e lekin na milā tū
is jiine se ab dil ko uThā baiTheñge ham bhī
hai tujh ko qasam zulm se mat haath uThā tū
manzar meñ badan ke bhī ye ek turfa-makāñ thā
afsos ki Tuk dil meñ hamāre na rahā tū
the chaak garebān gulistāñ meñ guloñ ke
niklā hai magar khole hue band-e-qabā tū
be-hoshī sī aatī hai tujhe us kī galī meñ
gar ho sake ai 'mīr' to us raah na jā tū
qad khinche hai jis waqt to hai turfa-bala tu
kahta hai tera saya pari se ki hai kya tu
gar apni rawish rah chala yar to ai kabk
rah jaega diwar-e-gulistan se laga tu
be-gul nahin bulbul tujhe bhi chain pa dekhen
mar rahte hain hum ek taraf bagh mein ya tu
KHush-ru hai bahut ai gul-e-tar tu bhi wa-lekin
insaf hai munh tere hi waisa hai bhala tu
kya jaaniye ai gauhar-e-maqsad tu kahan hai
hum KHak mein bhi mil gae lekin na mila tu
is jine se ab dil ko uTha baiThenge hum bhi
hai tujh ko qasam zulm se mat hath uTha tu
manzar mein badan ke bhi ye ek turfa-makan tha
afsos ki Tuk dil mein hamare na raha tu
the chaak gareban gulistan mein gulon ke
nikla hai magar khole hue band-e-qaba tu
be-hoshi si aati hai tujhe us ki gali mein
gar ho sake ai 'mir' to us rah na ja tu
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0379
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.