qad sab ke unki bazm mein kam kar diye gae
qad sab ke unki bazm mein kam kar diye gae
Iqbal Ahmad Khan Arif
MORE BYIqbal Ahmad Khan Arif
qad sab ke un kī bazm meñ kam kar diye ga.e
jo sar nahīñ jhuke vo qalam kar diye ga.e
chehroñ pe hādsāt raqam kar diye ga.e
sab ḳhush-mizāj vaqf-e-alam kar diye ga.e
qahr-e-ḳhudā huā to koī uf na kar sakā
saare vajūd pal meñ adam kar diye ga.e
jo saath saath chal na sake vaqt ke yahāñ
vo log sirf naqsh-e-qadam kar diye ga.e
har be-zamīr shaḳhs ne ḳhushiyāñ sameT liiñ
hamrāh ahl-e-zarf ke ġham kar diye ga.e
'ārif' darūn-e-ka.aba kabhī but bhī the magar
ma.atūb saare ahl-e-haram kar diye ga.e
qad sab ke un ki bazm mein kam kar diye gae
jo sar nahin jhuke wo qalam kar diye gae
chehron pe hadsat raqam kar diye gae
sab KHush-mizaj waqf-e-alam kar diye gae
qahr-e-KHuda hua to koi uf na kar saka
sare wajud pal mein adam kar diye gae
jo sath sath chal na sake waqt ke yahan
wo log sirf naqsh-e-qadam kar diye gae
har be-zamir shaKHs ne KHushiyan sameT lin
hamrah ahl-e-zarf ke gham kar diye gae
'arif' darun-e-kaba kabhi but bhi the magar
matub sare ahl-e-haram kar diye gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.