qadam baDhate hi manzil dikhane lagte hain
qadam baḌhāte hī manzil dikhāne lagte haiñ
ye rāste to baḌe hī siyāne lagte haiñ
kisī ġharīb ke ghar meñ uge agar sūraj
añdhere puure mahalle pe chhāne lagte haiñ
ḳhizāñ meñ peḌ pe patte zarā nahīñ Tikte
bahār aate hī rishte nibhāne lagte haiñ
kisī nazar se utarne ko ek pal hai bahut
nazar meñ chaḌhne ko lekin zamāne lagte haiñ
kisī savāl kā sīdhā javāb kyā deñge
jo bāt-bāt meñ bāteñ banāne lagte haiñ
qadam baDhate hi manzil dikhane lagte hain
ye raste to baDe hi siyane lagte hain
kisi gharib ke ghar mein uge agar suraj
andhere pure mahalle pe chhane lagte hain
KHizan mein peD pe patte zara nahin Tikte
bahaar aate hi rishte nibhane lagte hain
kisi nazar se utarne ko ek pal hai bahut
nazar mein chaDhne ko lekin zamane lagte hain
kisi sawal ka sidha jawab kya denge
jo baat-baat mein baaten banane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.