qadam-e-KHush-badanan shoabda-gar hai ki nahin
qadam-e-ḳhush-badanāñ sho.abda-gar hai ki nahīñ
ye zamīñ-lāla-ruḳh-o-kisht-e-guhar hai ki nahīñ
dekhiye rañg-e-hinā rū-e-shafaq josh-e-bahār
tā.ir-e-ḳhvāb to hai tāb-e-safar hai ki nahīñ
be-sabab maiñ nahīñ tāsīr-e-nazar kā qaa.il
zaḳhm ġhuncha-sifat-o-shāḳh-e-samar hai ki nahīñ
terī āvāz kalīd-e-chamanastīñ hai magar
sīna-e-nai meñ gudāz-e-gul-e-tar hai ki nahīñ
dekhne jā.ūñ qad-o-āriz-o-gesū-e-sanam
sochtā huuñ ki koī rāh-o-mafar hai ki nahīñ
sar paTaktī huī ik mauj ne dariyā se kahā
āb-e-āsūda-e-dariyā mirā ghar hai ki nahīñ
zor-e-amvāj-e-talātum se hai dariyā dariyā
harf-e-be-sūd ki dariyā meñ guhar hai ki nahīñ
qadam-e-KHush-badanan shoabda-gar hai ki nahin
ye zamin-lala-ruKH-o-kisht-e-guhar hai ki nahin
dekhiye rang-e-hina ru-e-shafaq josh-e-bahaar
tair-e-KHwab to hai tab-e-safar hai ki nahin
be-sabab main nahin tasir-e-nazar ka qail
zaKHm ghuncha-sifat-o-shaKH-e-samar hai ki nahin
teri aawaz kalid-e-chamanastin hai magar
sina-e-nai mein gudaz-e-gul-e-tar hai ki nahin
dekhne jaun qad-o-ariz-o-gesu-e-sanam
sochta hun ki koi rah-o-mafar hai ki nahin
sar paTakti hui ek mauj ne dariya se kaha
aab-e-asuda-e-dariya mera ghar hai ki nahin
zor-e-amwaj-e-talatum se hai dariya dariya
harf-e-be-sud ki dariya mein guhar hai ki nahin
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 106)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.