qadam hamare bhi rafta rafta sanbhal rahe hain
qadam hamāre bhī rafta rafta sañbhal rahe haiñ
mohabbatoñ ke charāġh rāhoñ meñ jal rahe haiñ
nahīñ kisī ko kisī se ab hai koī shikāyat
na.e zamāne ke zāviye bhī badal rahe haiñ
khuleñgī un kī bhī jald āñkheñ yaqīn rakhiye
jo log apne ta.iiñ ye āñkheñ masal rahe haiñ
samajh meñ aa.e na husn vaale kabhī hameñ to
hamārī ḳhātir ye log mushkil puzzle rahe haiñ
ye kashmakash hai bas ek tum ko hī bhūlne meñ
nahīñ to ab tak sabhī decision aTal rahe haiñ
jo apnī fitrat meñ har tarah se the saḳht patthar
vo mom ho kar tirī tapish se pighal rahe haiñ
nahīñ hamārā koī jahāñ meñ javāb 'ishrat'
na ham kisī ke yahāñ pe ne'mul-badal rahe haiñ
qadam hamare bhi rafta rafta sanbhal rahe hain
mohabbaton ke charagh rahon mein jal rahe hain
nahin kisi ko kisi se ab hai koi shikayat
nae zamane ke zawiye bhi badal rahe hain
khulengi un ki bhi jald aankhen yaqin rakhiye
jo log apne tain ye aankhen masal rahe hain
samajh mein aae na husn wale kabhi hamein to
hamari KHatir ye log mushkil puzzle rahe hain
ye kashmakash hai bas ek tum ko hi bhulne mein
nahin to ab tak sabhi decision aTal rahe hain
jo apni fitrat mein har tarah se the saKHt patthar
wo mom ho kar teri tapish se pighal rahe hain
nahin hamara koi jahan mein jawab 'ishrat'
na hum kisi ke yahan pe ne'mul-badal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.