qadam kahin pe irada kahin ka rakhte hain
qadam kahīñ pe irāda kahīñ kā rakhte haiñ
ḳhalā meñ rahte haiñ manzar zamīñ kā rakhte haiñ
ye kaun un kī nazar vāhimoñ se bhartā hai
jo apne baste meñ naama yaqīñ kā rakhte haiñ
ye kyā ki ruuh kī koī zamīñ na koī vatan
jahāñ kī miTTī ho us ko vahīñ kā rakhte haiñ
isī liye to parindoñ ke par nikalte haiñ
ki āstāñ na bakheḌā jabīñ kā rakhte haiñ
usī ke faiz se nā-mehrbāñ huā hai dil
makāñ mizāj hamesha makīñ kā rakhte haiñ
qadam kahin pe irada kahin ka rakhte hain
KHala mein rahte hain manzar zamin ka rakhte hain
ye kaun un ki nazar wahimon se bharta hai
jo apne baste mein nama yaqin ka rakhte hain
ye kya ki ruh ki koi zamin na koi watan
jahan ki miTTi ho us ko wahin ka rakhte hain
isi liye to parindon ke par nikalte hain
ki aastan na bakheDa jabin ka rakhte hain
usi ke faiz se na-mehrban hua hai dil
makan mizaj hamesha makin ka rakhte hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 550)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.