qadam qadam aasman bhi misl-e-zamin hai mujhko
qadam qadam āsmāñ bhī misl-e-zamīñ hai mujh ko
ye kā.enāt-e-nigāh bait-e-yaqīñ hai mujh ko
libās ban kar jo roz-o-shab ke badan pe jaagā
vo zindagī kā vajūd hī dil-nashīñ hai mujh ko
nigāh phere jo ḳhud-numā.ī mere yaqīñ se
to phir batā.ūñ hayāt kitnī hasīñ hai mujh ko
mujhe ḳhabar hai ki merī qismat meñ tū likhā hai
koī gumān-e-ġhalat bhī ḳhud par nahīñ hai mujh ko
na jaane kyoñ har nazar se us ko bachānā chāhūñ
vo aarzū jo har ek shai se hasīñ hai mujh ko
jahāñ laboñ kā vajūd hai buuñd buuñd tishna
vo shahr-e-fikr-o-nazar dayār-e-hazīñ hai mujh ko
bajā ki mere badan pe harf-e-anā likhā hai
tirī zarūrat bhī zindagī meñ kahīñ hai mujh ko
harīf 'parvāz' jis jagah hai mirā sarāpā
sukūn-e-dil iztirāb-e-paiham vahīñ hai mujh ko
qadam qadam aasman bhi misl-e-zamin hai mujh ko
ye kaenat-e-nigah bait-e-yaqin hai mujh ko
libas ban kar jo roz-o-shab ke badan pe jaga
wo zindagi ka wajud hi dil-nashin hai mujh ko
nigah phere jo KHud-numai mere yaqin se
to phir bataun hayat kitni hasin hai mujh ko
mujhe KHabar hai ki meri qismat mein tu likha hai
koi guman-e-ghalat bhi KHud par nahin hai mujh ko
na jaane kyon har nazar se us ko bachana chahun
wo aarzu jo har ek shai se hasin hai mujh ko
jahan labon ka wajud hai bund bund tishna
wo shahr-e-fikr-o-nazar dayar-e-hazin hai mujh ko
baja ki mere badan pe harf-e-ana likha hai
teri zarurat bhi zindagi mein kahin hai mujh ko
harif 'parwaz' jis jagah hai mera sarapa
sukun-e-dil iztirab-e-paiham wahin hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.