Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam qadam par tumhaari yun to inayaten bhi bahut hui hain

Mustafa Shahab

qadam qadam par tumhaari yun to inayaten bhi bahut hui hain

Mustafa Shahab

MORE BYMustafa Shahab

    qadam qadam par tumhārī yuuñ to ināyateñ bhī bahut hui haiñ

    mujhe mirī be-niyāziyoñ par nadāmateñ bhī bahut hui haiñ

    ye mat samajhnā ki āñsuoñ se bhiig jaatī haiñ us palkeñ

    ki bārhā chashm-e-nam se us karāmateñ bhī bahut hui haiñ

    ajab tamāshā hai zulm sah kar bhī saare mazlūm mutma.in haiñ

    unhīñ jānib se qātiloñ zamānateñ bhī bahut hui haiñ

    mohabbatoñ meñ ḳhamoshiyāñ javāb hotī haiñ mo'tariz

    agarche kuchh be-irāda mujh se vazāhateñ bhī bahut hui haiñ

    hui hai iz.hār-e-ārzū meñ ḳhatā-e-tāḳhīr is liye bhī

    rah-e-tamannā ujālne meñ tavālteñ bhī bahut hui haiñ

    'shahāb' sāhil se bāñdh rakkho abhī purānī vo naav apnī

    ki jas pe tūfānī naddiyoñ meñ masāfateñ bhī bahut hui haiñ

    qadam qadam par tumhaari yun to inayaten bhi bahut hui hain

    mujhe meri be-niyaziyon par nadamaten bhi bahut hui hain

    ye mat samajhna ki aansuon hi se bhig jati hain us ki palken

    ki barha chashm-e-nam se us ki karamaten bhi bahut hui hain

    ajab tamasha hai zulm sah kar bhi sare mazlum mutmain hain

    unhin ki jaanib se qatilon ki zamanaten bhi bahut hui hain

    mohabbaton mein KHamoshiyan hi jawab hoti hain mo'tariz ka

    agarche kuchh be-irada mujh se wazahaten bhi bahut hui hain

    hui hai izhaar-e-arzu mein KHata-e-taKHir is liye bhi

    rah-e-tamanna ujalne mein tawalten bhi bahut hui hain

    'shahab' sahil se bandh rakkho abhi purani wo naw apni

    ki jas pe tufani naddiyon mein masafaten bhi bahut hui hain

    Source :
    • Book : Kaghaz Ki Kashtiyan (Pg. 100)
    • Author : Mustafa Shahab
    • Publication : Qalam Publications, Mumbai (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now