qadam-qadam pe ajab zalzale machalte hue
qadam-qadam pe ajab zalzale machalte hue
laraz laraz gayā tūl-e-safar se Darte hue
sunā rahā thā vo mujh ko ajab ajab bāteñ
badan kā āḳhirī ziina magar utarte hue
vo āsmān ki jis se gumān aajiz thā
zamīn aisī ki Dartā huuñ paaoñ dharte hue
na koī saaya hī utrā na ġham kī raat kaTī
guzar ga.iiñ ka.ī sadiyāñ havā se laḌte hue
yahī nahīñ ki maiñ saffāk jhuuT bolā thā
use bhī ḳhauf na thā sāmne mukarte hue
ye kaun duur haTā mere paas aate hue
ye kaun aa gayā mujh meñ mujh hī se Darte hue
maiñ us ke vāste ek dasht-e-ḳhaufnāk rahā
vo paar kartā mujhe kyā havā se Darte hue
bas ek ashk thā raushan jabīñ sitārā sā
bas ek phuul thā bistar pe shab guzarte hue
nasha ajiib mire harf-e-tez-tez meñ thā
vo TuuT TuuT gayā sher meñ utarte hue
jo ek harf mire ġham kā ism-e-āzam thā
usī ko kho diyā sab kuchh bayān karte hue
umañD rahā thā vo ik mauj-e-tah-nashīñ kī tarah
simaT rahā thā maiñ chāroñ taraf bikharte hue
vo hādisa kisī dīvār kī talāsh meñ thā
hazār dar the magar jaan meñ larazte hue
thamā gayā mire hāthoñ meñ jo dam-e-ruḳhsat
is aa.ine ko zarā dekh tū sañvarte hue
qadam-qadam pe ajab zalzale machalte hue
laraz laraz gaya tul-e-safar se Darte hue
suna raha tha wo mujh ko ajab ajab baaten
badan ka aaKHiri zina magar utarte hue
wo aasman ki jis se guman aajiz tha
zamin aisi ki Darta hun paon dharte hue
na koi saya hi utra na gham ki raat kaTi
guzar gain kai sadiyan hawa se laDte hue
yahi nahin ki main saffak jhuT bola tha
use bhi KHauf na tha samne mukarte hue
ye kaun dur haTa mere pas aate hue
ye kaun aa gaya mujh mein mujh hi se Darte hue
main us ke waste ek dasht-e-KHaufnak raha
wo par karta mujhe kya hawa se Darte hue
bas ek ashk tha raushan jabin sitara sa
bas ek phul tha bistar pe shab guzarte hue
nasha ajib mere harf-e-tez-tez mein tha
wo TuT TuT gaya sher mein utarte hue
jo ek harf mere gham ka ism-e-azam tha
usi ko kho diya sab kuchh bayan karte hue
umanD raha tha wo ek mauj-e-tah-nashin ki tarah
simaT raha tha main chaaron taraf bikharte hue
wo hadisa kisi diwar ki talash mein tha
hazar dar the magar jaan mein larazte hue
thama gaya mere hathon mein jo dam-e-ruKHsat
is aaine ko zara dekh tu sanwarte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.