qadam qadam pe fareb-e-sabaat rakh dena
qadam qadam pe fareb-e-sabāt rakh denā
bashar ke naam pe kul kā.enāt rakh denā
havā-e-dard kī zad par hayāt rakh denā
nihāl-e-zaḳhm harā shash jihāt rakh denā
lapeTnā mujhe anfās ke salāsil meñ
aur us ke ba.ad ka.ī hādsāt rakh denā
magar ye kyā ki chhurī par aziyyat-e-shab kī
kisī kī ho ki na ho merī zaat rakh denā
na niiñd āñkhoñ meñ aa.e na ḳhvāb hī aa.e
jo din Dhale to phir aisī hī raat rakh denā
na buuñd buuñd ko tarsūñ ki karbalā meñ huuñ
nazar ke sāmne lekin furāt rakh denā
yahī hai lazzat-e-guftār baat meñ apnī
koī ḳhilāf-e-tabī.at bhī baat rakh denā
qadam qadam pe fareb-e-sabaat rakh dena
bashar ke nam pe kul kaenat rakh dena
hawa-e-dard ki zad par hayat rakh dena
nihaal-e-zaKHm hara shash jihat rakh dena
lapeTna mujhe anfas ke salasil mein
aur us ke baad kai hadsat rakh dena
magar ye kya ki chhuri par aziyyat-e-shab ki
kisi ki ho ki na ho meri zat rakh dena
na nind aankhon mein aae na KHwab hi aae
jo din Dhale to phir aisi hi raat rakh dena
na bund bund ko tarsun ki karbala mein hun
nazar ke samne lekin furaat rakh dena
yahi hai lazzat-e-guftar baat mein apni
koi KHilaf-e-tabiat bhi baat rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.