qadam qadam pe hamein rang-o-bu ka dhoka hai
qadam qadam pe hameñ rañg-o-bū kā dhokā hai
ḳhizāñ-nasīb rafīqo ye daur kaisā hai
jo tū kahe use chhū kar zarā yaqīñ kar luuñ
tirī jabīñ pe mujhe chāñdnī kā dhokā hai
mirī nigāh ne baḳhshī hai husn ko raunaq
nasīm-e-sub.h se phūloñ kā rañg bikhrā hai
binā-e-sher hai merā mushāhida 'ishrat'
mire kalām meñ har dil kā dard hotā hai
qadam qadam pe hamein rang-o-bu ka dhoka hai
KHizan-nasib rafiqo ye daur kaisa hai
jo tu kahe use chhu kar zara yaqin kar lun
teri jabin pe mujhe chandni ka dhoka hai
meri nigah ne baKHshi hai husn ko raunaq
nasim-e-subh se phulon ka rang bikhra hai
bina-e-sher hai mera mushahida 'ishrat'
mere kalam mein har dil ka dard hota hai
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 232)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.