qadam qadam pe mera hausla baDhata hua
qadam qadam pe mirā hausla baḌhātā huā
koī charāġh sar-e-rāh jhilmilātā huā
mujhe ye hukm ki sūraj ke saath saath chalūñ
agarche qatra-e-shabnam huuñ thartharātā huā
ajiib ḳhauf kā aaseb sar pe raqsāñ hai
guzar rahā huuñ maiñ ḳhud se nazar bachātā huā
maiñ tishnagī kā vo sahrā ki buuñd ko tarsūñ
tū ābshār kī mānind gungunātā huā
kahīñ ġharīb ke chhappar meñ siskiyāñ aaheñ
kahīñ sitāroñ se dāman koī sajātā huā
nafas-nafas meñ havā bādbān khīñchtī hai
nazar-nazar koī tūfāñ hai sar uThātā huā
mire ḳhayāl ke āfāq-e-nau meñ raqs-kunāñ
chaman mahaktā huā shahr jagmagātā huā
ḳhizāñ kī aañkh kā shahtīr ban gayā hai 'ayāz'
ye ik gulāb sar-e-shāḳh lahlahātā huā
qadam qadam pe mera hausla baDhata hua
koi charagh sar-e-rah jhilmilata hua
mujhe ye hukm ki suraj ke sath sath chalun
agarche qatra-e-shabnam hun thartharaata hua
ajib KHauf ka aaseb sar pe raqsan hai
guzar raha hun main KHud se nazar bachata hua
main tishnagi ka wo sahra ki bund ko tarsun
tu aabshaar ki manind gungunata hua
kahin gharib ke chhappar mein siskiyan aahen
kahin sitaron se daman koi sajata hua
nafas-nafas mein hawa baadban khinchti hai
nazar-nazar koi tufan hai sar uThata hua
mere KHayal ke aafaq-e-nau mein raqs-kunan
chaman mahakta hua shahr jagmagata hua
KHizan ki aankh ka shahtir ban gaya hai 'ayaz'
ye ek gulab sar-e-shaKH lahlahata hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.