qadam qadam pe yahan dil-fareb dhoka hai
qadam qadam pe yahāñ dil-fareb dhokā hai
isī fareb-e-musalsal kā naam duniyā hai
tamām duniyā se insān kheltā hai magar
kisī ke haath meñ insān ḳhud khilaunā hai
hamāre saath nahīñ hai hamārā dil bhī magar
tumhāre saath to duniyā hai saarī duniyā hai
kisī ne pyaar se ik baar mujh ko dekhā thā
mirī nazar meñ abhī tak vahī nazārā hai
har ek daur meñ koshish bahut huī lekin
jahāñ meñ aaj bhī insāñ samajh se baalā hai
yahī bahut hai ki tū mere dil meñ hai varna
tirā maqām to arsh-e-barīñ se ūñchā hai
qadam qadam pe yahan dil-fareb dhoka hai
isi fareb-e-musalsal ka nam duniya hai
tamam duniya se insan khelta hai magar
kisi ke hath mein insan KHud khilauna hai
hamare sath nahin hai hamara dil bhi magar
tumhaare sath to duniya hai sari duniya hai
kisi ne pyar se ek bar mujh ko dekha tha
meri nazar mein abhi tak wahi nazara hai
har ek daur mein koshish bahut hui lekin
jahan mein aaj bhi insan samajh se baala hai
yahi bahut hai ki tu mere dil mein hai warna
tera maqam to arsh-e-barin se uncha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.