qadam sau man ke lagte hain kamar hi TuT jati hai
qadam sau man ke lagte haiñ kamar hī TuuT jaatī hai
koī ummīd jab bar aatī aatī TuuT jaatī hai
darīche band zehnoñ ke nahīñ khulte haiñ tāqat se
lagā ho zañg taale meñ to chābī TuuT jaatī hai
tirī ulfat meñ aisā haal hai jaise koī machhlī
nigal letī hai kāñTā aur laggī TuuT jaatī hai
jidhar ke ho udhar ke ho raho dil se to behtar hai
ki loTā be-talī kā ho to ToñTī TuuT jaatī hai
akaḌ kar bolne vaale na ho gar taan aaTe meñ
tave se qabl hī hāthoñ meñ roTī TuuT jaatī hai
chavannī ke na tuḌvāne pe ham se rūThne vaale
kahāñ hai tū ki aa ab sau kī gaDDī TuuT jaatī hai
qadam sau man ke lagte hain kamar hi TuT jati hai
koi ummid jab bar aati aati TuT jati hai
dariche band zehnon ke nahin khulte hain taqat se
laga ho zang tale mein to chabi TuT jati hai
teri ulfat mein aisa haal hai jaise koi machhli
nigal leti hai kanTa aur laggi TuT jati hai
jidhar ke ho udhar ke ho raho dil se to behtar hai
ki loTa be-tali ka ho to TonTi TuT jati hai
akaD kar bolne wale na ho gar tan aaTe mein
tawe se qabl hi hathon mein roTi TuT jati hai
chawanni ke na tuDwane pe hum se ruThne wale
kahan hai tu ki aa ab sau ki gaDDi TuT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.