qadam se KHak bhi uDi to chandni chhiTak gai
qadam se ḳhaak bhī uḌī to chāñdnī chhiTak ga.ī
jidhar se vo guzar ga.e vo rahguzar mahak ga.ī
havā-e-ġham ne barg-e-ḳhushk kī tarah hilā diyā
charāġh kī tarah ye zindagī bhaḌak bhaḌak ga.ī
tirā ḳhayāl raah meñ charāġh le kar aa gayā
uThā kuchh aisā dil meñ dard zindagī chamak ga.ī
us ek buuñd meñ ḳhazāna-e-qarār thā mirā
vo ek buuñd ḳhud-ba-ḳhud jo aañkh se chhalak ga.ī
diloñ meñ jab judā.ī thī to koī jāntā na thā
zabān par jab aa.ī thī to baat duur tak ga.ī
jamāl-e-dil-fareb se haTī thī ik zarā nazar
vo hañs ke pūchhne lage nigāh-e-shauq thak ga.ī
ta.alluqāt kyā nahīñ havā se 'vājid' aap ke
chalī jo saath aap ke to rāsta bhaTak ga.ī
qadam se KHak bhi uDi to chandni chhiTak gai
jidhar se wo guzar gae wo rahguzar mahak gai
hawa-e-gham ne barg-e-KHushk ki tarah hila diya
charagh ki tarah ye zindagi bhaDak bhaDak gai
tera KHayal rah mein charagh le kar aa gaya
uTha kuchh aisa dil mein dard zindagi chamak gai
us ek bund mein KHazana-e-qarar tha mera
wo ek bund KHud-ba-KHud jo aankh se chhalak gai
dilon mein jab judai thi to koi jaanta na tha
zaban par jab aai thi to baat dur tak gai
jamal-e-dil-fareb se haTi thi ek zara nazar
wo hans ke puchhne lage nigah-e-shauq thak gai
talluqat kya nahin hawa se 'wajid' aap ke
chali jo sath aap ke to rasta bhaTak gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.