qadam uThate hi chakra ke gir paDen hum bhi
qadam uThāte hī chakrā ke gir paḌeñ ham bhī
tumhārī tarah sañbhal ke agar chaleñ ham bhī
pasīne poñchh rahī hai havā daraḳhtoñ ke
thakan kī gard kahīñ ruk ke jhaaḌ leñ ham bhī
vo likh rahe haiñ añdhere meñ kuchh hathelī par
ujālā ho to zarā ġhaur se paḌheñ ham bhī
badal ke bhes harīfoñ kī fauj niklī hai
kisī tarah kā koī ruup dhaar leñ ham bhī
Thahar ga.ī hai kaḌī dhuup ek markaz par
dabīz chhāñv mile to kahīñ rukeñ ham bhī
fasīl-e-lab pe juḌe haiñ sukūt ke shīshe
zabāñ ko zaḳhm lagā.eñ to kuchh kaheñ ham bhī
qadam uThate hi chakra ke gir paDen hum bhi
tumhaari tarah sanbhal ke agar chalen hum bhi
pasine ponchh rahi hai hawa daraKHton ke
thakan ki gard kahin ruk ke jhaD len hum bhi
wo likh rahe hain andhere mein kuchh hatheli par
ujala ho to zara ghaur se paDhen hum bhi
badal ke bhes harifon ki fauj nikli hai
kisi tarah ka koi rup dhaar len hum bhi
Thahar gai hai kaDi dhup ek markaz par
dabiz chhanw mile to kahin ruken hum bhi
fasil-e-lab pe juDe hain sukut ke shishe
zaban ko zaKHm lagaen to kuchh kahen hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.