qadd-e-mauzun ka shajar yaad aaya
qadd-e-mauzūñ kā shajar yaad aayā
aur phir us kā samar yaad aayā
phir election kā hai sar meñ saudā
phir unheñ laḳht-e-jigar yaad aayā
chāñd par jaane kā muzhda sun kar
apnā bhūlā huā ghar yaad aayā
Thiik chaurāhe pe maiñ jā baiThā
jab tirā vaqt-e-safar yaad aayā
raah meñ mujh ko vo tanhā jo mile
jaane kyuuñ un kā pidar yaad aayā
dekh kar merī shikasta chappal
un ko 'hāshim' mirā sar yaad aayā
qadd-e-mauzun ka shajar yaad aaya
aur phir us ka samar yaad aaya
phir election ka hai sar mein sauda
phir unhen laKHt-e-jigar yaad aaya
chand par jaane ka muzhda sun kar
apna bhula hua ghar yaad aaya
Thik chaurahe pe main ja baiTha
jab tera waqt-e-safar yaad aaya
rah mein mujh ko wo tanha jo mile
jaane kyun un ka pidar yaad aaya
dekh kar meri shikasta chappal
un ko 'hashim' mera sar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.