Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadim alfaz mein mani ki jiddat mang lete hain

Noorain Talat Arooba

qadim alfaz mein mani ki jiddat mang lete hain

Noorain Talat Arooba

MORE BYNoorain Talat Arooba

    qadīm alfāz meñ ma.anī jiddat maañg lete haiñ

    ham apne rang se kasrat meñ vahdat maañg lete haiñ

    zarūrat ho na ho is se bhalā kyā farq paḌtā hai

    jinheñ ho māñgnā vo hasb-e-ādat maañg lete haiñ

    rivāyat ye purānī hai hamārī ḳhāndānī se

    ki apne ghar se baḌh kar dil meñ vus.at maañg lete haiñ

    hameñ lā-ilm rakhte haiñ hamesha apne baare meñ

    vo ham se saarī bātoñ vazāhat maañg lete haiñ

    ab un se iḳhtilāf-e-rā.e haq to mayassar ho

    ki jo dastār de kar sar salāmat maañg lete haiñ

    judā.ī kaḌī ghaḌiyāñ ye zālim hijr ke mausam

    ḳhushī ke chand lamhoñ bhī qīmat maañg lete haiñ

    abhī ham ḳhairiyat bhī pūchhne paate nahīñ un

    aur aate vo jaane ijāzat maañg lete haiñ

    qadim alfaz mein mani ki jiddat mang lete hain

    hum apne rang se kasrat mein wahdat mang lete hain

    zarurat ho na ho is se bhala kya farq paDta hai

    jinhen ho mangna wo hasb-e-adat mang lete hain

    riwayat ye purani hai hamari KHandani se

    ki apne ghar se baDh kar dil mein wusat mang lete hain

    hamein la-ilm rakhte hain hamesha apne bare mein

    wo hum se sari baaton ki wazahat mang lete hain

    ab un se iKHtilaf-e-rae ka haq to mayassar ho

    ki jo dastar de kar sar salamat mang lete hain

    judai ki kaDi ghaDiyan ye zalim hijr ke mausam

    KHushi ke chand lamhon ki bhi qimat mang lete hain

    abhi hum KHairiyat bhi puchhne pate nahin un ki

    aur aate hi wo jaane ki ijazat mang lete hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now