qadmon ke apne zor dikhate hue chalo
qadmoñ ke apne zor dikhāte hue chalo
jab bhī chalo to paañv bajāte hue chalo
har chhūTte maqām ko terī kamī khale
har dil meñ ik maqām banāte hue chalo
duniyā chalī hai raat se phir sub.h kī taraf
zulf-e-siyāh-rañg luTāte hue chalo
tere binā to be-kasī bhī be-kasī nahīñ
mumkin ho garche yaad meñ aate hue chalo
go ishq hai to ishq meñ paivast kyoñ raheñ
rāh-e-fanā meñ nāchte gaate hue chalo
qadmon ke apne zor dikhate hue chalo
jab bhi chalo to panw bajate hue chalo
har chhuTte maqam ko teri kami khale
har dil mein ek maqam banate hue chalo
duniya chali hai raat se phir subh ki taraf
zulf-e-siyah-rang luTate hue chalo
tere bina to be-kasi bhi be-kasi nahin
mumkin ho garche yaad mein aate hue chalo
go ishq hai to ishq mein paiwast kyon rahen
rah-e-fana mein nachte gate hue chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.