qadmon ke nishan sab mand paDe jo sang-e-mil tha TuT gaya
qadmoñ ke nishāñ sab maañd paḌe jo sang-e-mīl thā TuuT gayā
kuchh manzil mujh se chhūT ga.ī kuchh manzil se maiñ chhūT gayā
chehre kī ma.asūmī thī yā jalvoñ kā ro.ab thā haibat thī
baiThe the rūp-siñgār ko vo aur aa.ina gir kar TuuT gayā
ab aap akele shahr meñ haiñ kyā mujh se pāgal log nahīñ
ik merī qismat phūTī thī kyā sab kā muqaddar phuuT gayā
tārīkī phailne vaalī hai sūraj ko sañbhāl ke rakhiyegā
dīvār pe saa.e bikhre haiñ jo dhuup kā rang thā chhūT gayā
is husn-o-shabāb pe jitnā bhī ho nāz-o-ġhurūr hai kam lekin
sab jhūTe the kab sach bole kuchh maiñ bhī kah kar jhuuT gayā
rahbar to na thā rahzan bhī na thā kyā us ke ta.āruf meñ bolūñ
yā be-sar-o-sāmāñ maiñ hī thā yā jo kuchh thā vo luuT gayā
ik gandumī rang kā chehra thā aur phuul shagūfa lagtā thā
palkoñ ko 'adīm' vo Thes lagī guldasta ḳhvāb kā TuuT gayā
qadmon ke nishan sab mand paDe jo sang-e-mil tha TuT gaya
kuchh manzil mujh se chhuT gai kuchh manzil se main chhuT gaya
chehre ki masumi thi ya jalwon ka roab tha haibat thi
baiThe the rup-singar ko wo aur aaina gir kar TuT gaya
ab aap akele shahr mein hain kya mujh se pagal log nahin
ek meri qismat phuTi thi kya sab ka muqaddar phuT gaya
tariki phailne wali hai suraj ko sanbhaal ke rakhiyega
diwar pe sae bikhre hain jo dhup ka rang tha chhuT gaya
is husn-o-shabab pe jitna bhi ho naz-o-ghurur hai kam lekin
sab jhuTe the kab sach bole kuchh main bhi kah kar jhuT gaya
rahbar to na tha rahzan bhi na tha kya us ke taaruf mein bolun
ya be-sar-o-saman main hi tha ya jo kuchh tha wo luT gaya
ek gandumi rang ka chehra tha aur phul shagufa lagta tha
palkon ko 'adim' wo Thes lagi guldasta KHwab ka TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.