qadmon mein jab se mere hain tare dhare hue
qadmoñ meñ jab se mere haiñ taare dhare hue
saare adū haiñ ghar meñ bichāre dhare hue
achchhā to Thiik hai mujhe chalnā usī pe hai
rasta ki jis pe hoñge ḳhasāre dhare hue
taarī hai mauj mauj pe kuchh is liye bhī ḳhauf
aayā huuñ rauñd kar maiñ kināre dhare hue
ik jañg thī hamārī jise jītne ke ba.ad
palkoñ pe kyuuñ the us ke ishāre dhare hue
un se havā pe naqsh huī naġhmagī 'naved'
jitne bhī the charāġh hamāre dhare hue
qadmon mein jab se mere hain tare dhare hue
sare adu hain ghar mein bichaare dhare hue
achchha to Thik hai mujhe chalna usi pe hai
rasta ki jis pe honge KHasare dhare hue
tari hai mauj mauj pe kuchh is liye bhi KHauf
aaya hun raund kar main kinare dhare hue
ek jang thi hamari jise jitne ke baad
palkon pe kyun the us ke ishaare dhare hue
un se hawa pe naqsh hui naghmagi 'nawed'
jitne bhi the charagh hamare dhare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.