qafas ki tiliyan hain aur main hun
qafas kī tīliyāñ haiñ aur maiñ huuñ
vatan se dūriyāñ haiñ aur maiñ huuñ
vahī pahle ke jaisī be-qarārī
vahī be-ḳhvābiyāñ haiñ aur maiñ huuñ
muqayyad ahd-e-māzī ke khañDar meñ
mirī ḳhush-fahmiyāñ haiñ aur maiñ huuñ
na jugnū hai na hai koī sitārā
ajab tārīkiyāñ haiñ aur maiñ huuñ
mirī tārīk rātoñ ke mushāhid
jharoke khiḌkiyāñ haiñ aur maiñ huuñ
mire ghar meñ barā.e-ham-navā.ī
mirī tanhā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
vahī nāsāzī-e-qismat kī mujh par
karam-farmā.iyāñ haiñ aur maiñ huuñ
na badlā hai na badlegā ye lahja
vahī be-bākiyāñ haiñ aur maiñ huuñ
vahī hālāt se jehd-e-musalsal
vahī nākāmiyāñ haiñ aur maiñ huuñ
qafas ki tiliyan hain aur main hun
watan se duriyan hain aur main hun
wahi pahle ke jaisi be-qarari
wahi be-KHwabiyan hain aur main hun
muqayyad ahd-e-mazi ke khanDar mein
meri KHush-fahmiyan hain aur main hun
na jugnu hai na hai koi sitara
ajab tarikiyan hain aur main hun
meri tarik raaton ke mushahid
jharoke khiDkiyan hain aur main hun
mere ghar mein barae-ham-nawai
meri tanhaiyan hain aur main hun
wahi nasazi-e-qismat ki mujh par
karam-farmaiyan hain aur main hun
na badla hai na badlega ye lahja
wahi be-bakiyan hain aur main hun
wahi haalat se jehd-e-musalsal
wahi nakaamiyan hain aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.