qafas ko le ke uDna paD raha hai
qafas ko le ke uḌnā paḌ rahā hai
ye saudā mujh ko mahñgā paḌ rahā hai
mirī har ik masāfat rā.egāñ thī
mujhe taslīm karnā paḌ rahā hai
sunā hai ek jaadū hai mohabbat
ye jaadū hai to ulTā paḌ rahā hai
mohabbat hai hameñ ik dūsre se
ye aapas meñ batānā paḌ rahā hai
jo rahnā chāhtā hai lā-ta.alluq
ta.alluq us se rakhnā paḌ rahā hai
samajhtī thī bahut āsān jin ko
unhīñ kāmoñ meñ raḳhna paḌ rahā hai
huī jaatī hai phir kyuuñ duur manzil
mirā paañv to sīdhā paḌ rahā hai
maiñ kin logoñ se milnā chāhtī thī
ye kin logoñ se milnā paḌ rahā hai
maiñ ab tak mar nahīñ paa.ī huuñ 'shabnam'
so ab tak mujh ko jiinā paḌ rahā hai
qafas ko le ke uDna paD raha hai
ye sauda mujh ko mahnga paD raha hai
meri har ek masafat raegan thi
mujhe taslim karna paD raha hai
suna hai ek jadu hai mohabbat
ye jadu hai to ulTa paD raha hai
mohabbat hai hamein ek dusre se
ye aapas mein batana paD raha hai
jo rahna chahta hai la-talluq
talluq us se rakhna paD raha hai
samajhti thi bahut aasan jin ko
unhin kaamon mein raKHna paD raha hai
hui jati hai phir kyun dur manzil
mera panw to sidha paD raha hai
main kin logon se milna chahti thi
ye kin logon se milna paD raha hai
main ab tak mar nahin pai hun 'shabnam'
so ab tak mujh ko jina paD raha hai
- Book : Masaafat Raigaan Thi (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.